Dil se ek dhadkan ku juda paya....
hawa ke jhonke ne sihran machaya......
chanchal man ne socha ki aasman choo jaayen.....
hua aaj fir man ki kavita ki jaaye..........
Khelu main titliyon se phoolon ke beech.....
Ose ki bundon ke chheeten udaun main.....
Mitti me dhanse hue peron ko dekhke .......

Wo ravivaar ke din, wo tyohaar yaad aaye hain....
khelte the .....mastate the.....parijano ke sang....
wo toota hua kaanch,purane din yaad karaye......

Achanak man mera ek gaane ki dhun gungunaye....
us dhun se jude jazbaat yaad aaye......
inhi yaadon me hoth bejubaan ho gaye.....
hua aaj fir man ki kavita ki jaaye......
Gazar ke halwe ki khusbu aayi kahin se......
wo pyari si daant ki awaaz aayi kahin se......
un mamta bhari aakhon ke aansu yaad aaye......

mele me jaake muje mithayi khana hai....
un jhoolon me beth ke hansna-hasana hai.....
gin-gin kar santre ki goliyan baantna yaad aaye.......

wo chacha chaudhary, wo Billu yaad aaye......
unhe sapne me bhi dekhna ...yaad aaye....
Karun main bi aise kaarname.......ye ichcha man me aaye....

Pehla certificate, pehli prashansa yaad aaye.....
aise hi me aankhen me chamak aa jaye......
haar ko jeet me badalna yaad aaye.........

kavita karna to ek maadhyam hai......
jazbaaton ko shabdon me daalna....asambhav hai....
jitna bhi likhna aata hai ....aapki hi den hai.....
aapko sochta hun main .....isliye likhta hun main.........isliye likhta hun main.....
(c) Zobo Pvt. Ltd.

No comments:
Post a Comment